saare  din  dasht-e-tajassus  meñ  bhaTak  kar  so  gayā
shaam  kī  āġhosh  meñ  sūraj  bhī  thak  kar  so  gayā
āḳhir-e-shab  maiñ  bhī  khā  kar  ḳhvāb-āvar  goliyāñ
chand  lamhe  nashsha-e-ġham  se  bahak  kar  so  gayā
ye  sukūt-e-shām  ye  hañgāma-e-zehn-e-bashar
ruuh  hai  bedār  lekin  jism  thak  kar  so  gayā
āḳhir  is  daur-e-pur-āshob  kā  har  aadmī
ḳhvāb-e-mustaqbil  ke  jañgal  meñ  bhaTak  kar  so  gayā
chand  din  gulshan  meñ  naġhmāt-e-masarrat  chheḌ  kar
shāḳh-e-ġham  par  ruuh  kā  panchhī  chahak  kar  so  gayā
āḳhirash  saare  chaman  ko  de  ke  husn-e-zindagī
maut  ke  bistar  pe  har  ġhuncha  mahak  kar  so  gayā
zindagī  bhar  ab  añdherī  raat  meñ  hai  jāgnā
ab  to  qismat  kā  sitāra  bhī  chamak  kar  so  gayā
paikar-e-alfāz  meñ  ik  aag  dahkātā  huā
kāġhzī  sahrā  meñ  ik  sho.ala  bhaḌak  kar  so  gayā
'kaif'  yuuñ  āġhosh-e-fan  meñ  zehn  ko  niiñd  aa  ga.ī
jaise  maañ  kī  god  meñ  bachcha  sisak  kar  so  gayā