dariyā  kī  mauj  hī  meñ  nahīñ  iztirāb  hai
sañg-e-ravāñ  ke  dil  meñ  bhī  ik  zaḳhm-e-āb  hai
har  fard  aaj  TūTte  lamhoñ  ke  shor  meñ
asr-e-ravāñ  kī  jāgtī  ā.ankhoñ  kā  ḳhvāb  hai
vo  ḳhud  hī  apnī  aag  meñ  jal  kar  fanā  huā
jis  saa.e  kī  talāsh  meñ  ye  āftāb  hai
ab  koī  nisf  daam  pe  bhī  pūchhtā  nahīñ
ye  zindagī  nisāb  se  ḳhārij  kitāb  hai
palkoñ  pe  aaj  niiñd  kī  kircheñ  bikhar  ga.iiñ
shīshe  kī  aañkh  meñ  koī  patthar  kā  ḳhvāb  hai
ai  'kaif'  nā-qadoñ  ke  ta.assub  ke  bāvajūd
merā  har  ek  sher  adab  kī  kitāb  hai