dil  kī  taraf  dimāġh  se  vo  aane  vaalā  hai
ye  bhī  makān  haath  se  ab  jaane  vaalā  hai
ik  lahar  us  kī  aañkh  meñ  hai  hausla-shikan
ik  rañg  us  ke  chehre  pe  bahkāne  vaalā  hai
ye  kaun  aane  jaane  lagā  us  galī  meñ  ab
ye  kaun  merī  dāstāñ  dohrāne  vaalā  hai
duniyā  pasand  aane  lagī  dil  ko  ab  bahut
samjho  ki  ab  ye  baaġh  bhī  murjhāne  vaalā  hai
jo  sā.at-e-hasīñ  thī  vo  roke  nahīñ  rukī
ye  lamha  bhī  'jamāl'  guzar  jaane  vaalā  hai