milnā  nahīñ  to  yaad  use  karnā  bhī  chhoḌ  de
dīvār  chhoḌ  dī  hai  to  saaya  bhī  chhoḌ  de
ik  aadmī  se  tark-e-marāsim  ke  ba.ad  ab
kyā  us  galī  se  koī  guzarnā  bhī  chhoḌ  de
aanā  ab  us  ne  chhoḌ  diyā  hai  agar  to  kyā
dil  be-sabab  charāġh  jalānā  bhī  chhoḌ  de
mazbūt  kashtiyoñ  ko  bachāne  ke  vāste
dariyā  meñ  ek  naav  shikasta  bhī  chhoḌ  de
allāh  kī  zamīn  baḌī  hai  bahut  'jamāl'
izzat  nahīñ  jahāñ  vahāñ  rahnā  bhī  chhoḌ  de