kisī  bhī  dasht  kisī  bhī  nagar  chalā  jaatā
maiñ  apne  saath  hī  rahtā  jidhar  chalā  jaatā
vo  jis  muñDer  pe  chhoḌ  aayā  apnī  āñkheñ  maiñ
charāġh  hotā  to  lau  bhuul  kar  chalā  jaatā
use  bachā  liyā  āvargān-e-shām  ne  aaj
vagarna  sub.h  kā  bhūlā  to  ghar  chalā  jaatā
mirā  makāñ  mirī  ġhaflat  se  bach  gayā  varna
koī  churā  ke  mire  bām-o-dar  chalā  jaatā
agar  maiñ  khiḌkiyāñ  darvāze  band  kar  letā
to  ghar  kā  bhed  sar-e-rahguzar  chalā  jaatā
thakan  bahut  thī  magar  sāya-e-shajar  meñ  'jamāl'
maiñ  baiThtā  to  mirā  ham-safar  chalā  jaatā