umr  guzrī  jis  kā  rasta  dekhte
aa  bhī  jaatā  vo  to  ham  kyā  dekhte
kaise  kaise  moḌ  aa.e  raah  meñ
saath  chalte  to  tamāshā  dekhte
qarya-qarya  jitnā  āvāra  phire
ghar  meñ  rah  lete  to  duniyā  dekhte
gar  bahā  aate  na  dariyāoñ  meñ  ham
aaj  un  āñkhoñ  se  sahrā  dekhte
ḳhud  hī  rakh  aate  diyā  dīvār  par
aur  phir  us  kā  bhaḌaknā  dekhte
jab  huī  ta.amīr  jism  o  jaañ  to  log
haath  kā  miTTī  meñ  khonā  dekhte
do  qadam  chal  aate  us  ke  saath  saath
jis  musāfir  ko  akelā  dekhte
e'tibār  uTh  jaatā  aapas  kā  'jamāl'
log  agar  us  kā  bichhaḌnā  dekhte