charāġh  sāmne  vaale  makān  meñ  bhī  na  thā
ye  sāneha  mire  vahm-o-gumān  meñ  bhī  na  thā
jo  pahle  roz  se  do  āñganoñ  meñ  thā  haa.il
vo  fāsla  to  zamīn  āsmān  meñ  bhī  na  thā
ye  ġham  nahīñ  hai  ki  ham  donoñ  ek  ho  na  sake
ye  rañj  hai  ki  koī  darmiyān  meñ  bhī  na  thā
havā  na  jaane  kahāñ  le  ga.ī  vo  tiir  ki  jo
nishāne  par  bhī  na  thā  aur  kamān  meñ  bhī  na  thā
'jamāl'  pahlī  shanāsā.ī  kā  vo  ik  lamha
use  bhī  yaad  na  thā  mere  dhyān  meñ  bhī  na  thā