'jamāl'  ab  to  yahī  rah  gayā  pata  us  kā
bhalī  sī  shakl  thī  achchhā  sā  naam  thā  us  kā
phir  ek  saaya  dar-o-bām  par  utar  aayā
dil-o-nigāh  meñ  phir  zikr  chhiḌ  gayā  us  kā
kise  ḳhabar  thī  ki  ye  din  bhī  dekhnā  hogā
ab  e'tibār  bhī  dil  ko  nahīñ  rahā  us  kā
jo  mere  zikr  par  ab  qahqahe  lagātā  hai
bichhaḌte  vaqt  koī  haal  dekhtā  us  kā
mujhe  tabāh  kiyā  aur  sab  kī  nazroñ  meñ
vo  be-qusūr  rahā  ye  kamāl  thā  us  kā
so  kis  se  kījiye  zikr-e-nazākat-e-ḳhad-o-ḳhāl
koī  milā  hī  nahīñ  sūrat-āshnā  us  kā
jo  saaya  saaya  shab-o-roz  mere  saath  rahā
galī  galī  meñ  pata  pūchhtā  phirā  us  kā
'jamāl'  us  ne  to  Thānī  thī  umr-bhar  ke  liye
ye  chaar  roz  meñ  kyā  haal  ho  gayā  us  kā