shām-e-alam  bhī  guzrī  pahlū  badal  badal  kar
rotā  rahā  hai  ye  dil  pahroñ  machal  machal  kar
manzil  kī  justujū  meñ  pahuñche  kahāñ  kahāñ  ham
dekhā  kiye  tamāsha  raste  badal  badal  kar
shahr-e-vafā  meñ  ham  ne  sab  kuchh  luTā  diyā  hai
ye  baat  un  se  kahnā  logo  sambhal  sambhal  kar
kyā  zid  kareñge  tujh  se  ai  gardish-e-zamāna
hañsnā  bhī  aa  gayā  hai  ġham  se  bahal  bahal  kar
'gulnār'  zabt-e-ġham  kī  ye  intihā  bhī  dekhī
dāman  bhigo  rahe  haiñ  aañsū  nikal  nikal  kar