na  pūchh  ai  mire  ġham-ḳhvār  kyā  tamannā  thī
dil-e-hazīñ  meñ  bhī  ābād  ek  duniyā  thī
har  ik  nazar  thī  hamāre  hī  chāk-dāmāñ  par
har  ek  sā.at-e-ġham  jaise  ik  tamāshā  thī
hameñ  bhī  ab  dar  o  dīvār  ghar  ke  yaad  aa.e
jo  ghar  meñ  the  to  hameñ  ārzū-e-sahrā  thī
koī  bachātā  hameñ  phir  bhī  Duub  hī  jaate
hamāre  vāste  zanjīr  mauj-e-dariyā  thī
baġhair  samt  ke  chalnā  bhī  kaam  aa  hī  gayā
fasīl-e-shahr  ke  bāhar  bhī  ek  duniyā  thī
tilism-e-hosh-rubā  the  vo  manzar-e-hastī
fazā-e-dīda-o-dil  jaise  ḳhvāb  aasā  thī
koī  rafīq-e-safar  thā  na  rāhbar  koī
junūñ  kī  raah  meñ  'gulnār'  jāda-paimā  thī