shajar-e-ummīd  bhī  jal  gayā  vo  vafā  kī  shāḳh  bhī  jal  ga.ī
mire  dil  kā  naqsha  badal  gayā  mirī  sub.h  raat  meñ  Dhal  ga.ī
vahī  zindagī  jo  bahr  nafas  jo  bahr  qadam  mire  saath  thī
kabhī  merā  saath  bhī  chhoḌ  kar  mirī  manzileñ  bhī  badal  ga.ī
na  vo  aarzū  hai  na  justujū  na  koī  tasavvur-e-rañg-o-bū
liye  dil  meñ  dāġh-e-ġham-e-ḳhizāñ  maiñ  chaman  se  duur  nikal  ga.ī
tirī  chaal  puurī  na  ho  sakī  tirā  vaar  ḳhālī  chalā  gayā
zarā  dekh  gardish-e-āsmāñ  ki  maiñ  girte  girte  sambhal  ga.ī
tirī  chāhatoñ  se  sañvar  ga.e  ye  mire  jamāl  ke  ā.īne
maiñ  gulāb  ban  ke  mahak  uThī  maiñ  shafaq  ke  rañg  meñ  Dhal  ga.ī
ye  tilism-e-mausam-e-gul  nahīñ  ki  ye  mojaza  hai  bahār  kā
vo  kalī  jo  shāḳh  se  gir  ga.ī  vo  sabā  kī  god  meñ  pal  ga.ī
vahī  sā.at-e-ġham-e-ārzū  jo  hamesha  dil  meñ  basī  rahī
hai  ḳhudā  kā  shukr  ki  'āfrīñ'  vo  hamāre  sar  se  to  Tal  ga.ī