aañkh  meñ  ashk  liye  ḳhaak  liye  dāman  meñ
ek  dīvāna  nazar  aatā  hai  kab  se  ban  meñ
mere  ghar  ke  bhī  dar-o-bām  kabhī  jāgeñge
dhuup  niklegī  kabhī  to  mire  bhī  āñgan  meñ
kahiye  ā.īna-e-sad-fasl-e-bahārāñ  tujh  ko
kitne  phūloñ  kī  mahak  hai  tire  pairāhan  meñ
shab-e-tārīk  mirā  rāsta  kyā  rokegī
mire  āñchal  meñ  sitāre  haiñ  sahar  dāman  meñ
kin  shahīdoñ  ke  lahū  ke  ye  farozāñ  haiñ  charāġh
raushnī  sī  jo  hai  zindāñ  ke  har  ik  rauzan  meñ
ahd-e-rafta  kī  tamannā  kā  fusūñ  zinda  hai
dil-e-nākām  abhī  tak  tirī  har  dhaḌkan  meñ
hameñ  manzūr  nahīñ  aglī  ravāyāt-e-junūñ
bā-ḳhirad  ho  ga.ī  'gulnār'  divāna-pan  meñ