dil  ne  ik  aah  bharī  aañkh  meñ  aañsū  aa.e
yaad  ġham  ke  hameñ  kuchh  aur  bhī  pahlū  aa.e
zulmat-e-shab  meñ  hai  rū-posh  nishān-e-manzil
ab  mujhe  raah  dikhāne  koī  jugnū  aa.e
dil  kā  har  zaḳhm  tirī  yaad  kā  ik  phuul  bane
mere  pairāhan-e-jāñ  se  tirī  ḳhushbū  aa.e
tishna-kāmoñ  kī  kahīñ  pyaas  bujhā  kartī  hai
dasht  ko  chhoḌ  ke  ab  kaun  lab-e-jū  aa.e
ek  parchhā.īñ  tasavvur  kī  mire  saath  rahe
maiñ  tujhe  bhūlūñ  magar  yaad  mujhe  tū  aa.e
maiñ  yahī  aas  liye  ġham  kī  kaḌī  dhuup  meñ  huuñ
dil  ke  sahrā  meñ  tire  pyaar  kā  aahū  aa.e
dil  pareshān  hai  'gulnār'  to  māhaul  udaas
ab  zarūrat  hai  koī  mutrib-e-ḳhush-ḳhū  aa.e