Mirza Mayal Dehlvi

kis munh se karun main tan-e-uryan ki shikayat

Mirza Mayal Dehlvi

Delhi, India

1866-1894

kis muñh se karūñ maiñ tan-e-uryāñ shikāyat

dāmāñ shikāyat na garebāñ shikāyat

kaisā khaTaktā rahe dil meñ mire paikāñ

mujh se to na hogī kabhī mehmāñ shikāyat

itnā bhī taġhāful nahīñ achchhā kahīñ tum ko

karnī na paḌe shorish-e-pinhāñ shikāyat

allāh rakhe mire tasavvur ko salāmat

tujh ko to nahīñ hai shab-e-hijrāñ shikāyat

hoñ lañg magar vāqif-e-ādāb-e-junūñ huuñ

maiñ kufr samajhtā huuñ bayābāñ shikāyat

kahtī hai tirī chashm gardish mire hote

koī na kare gardish-e-daurāñ shikāyat

jaate to ho ka.abe ko ḳhudā ke liye 'mā.il'

karnā na kisī dushman-e-īmāñ shikāyat

Top Urdushayar.com