vaa.iz  piye  hue  huuñ  ḳhudā  ke  liye  na  chheḌ
dhaḌkā  miTā  huā  hai  azaab  o  savāb  kā
yā-rab  unheñ  bahisht  meñ  jaanā  na  ho  nasīb
jo  lutf  uThā  chuke  haiñ  shab-e-māhtāb  kā
kyā  kyā  bigaḌ  rahe  haiñ  vo  ban  ban  ke  bazm  meñ
āshob-e-rozgār  hai  aalam  itaab  kā
phir  chāhtā  hai  dil  ki  vahī  tāk-jhāñk  ho
phaḌ  DhūñDhtā  huuñ  lutf  savāl  o  javāb  kā
zāhid  ko  bāda-ḳhvārī  kā  chaskā  lagā  diyā
ye  kaam  umr  bhar  meñ  huā  hai  savāb  kā
shoḳhī  to  ye  hai  bazm  meñ  baiThe  haiñ  is  tarah
goyā  khiñchā  huā  hai  muraqqa.a  hijāb  kā