bāteñ  haiñ  vā.izoñ  kī  azaab  o  savāb  kyā
do  din  kī  zindagī  meñ  hisāb-o-kitāb  kyā
chāhī  vafā-e-vāda  to  paayā  javāb  kyā
haañ  kahiye  to  ye  aap  ne  dekhā  hai  ḳhvāb  kyā
dil  meñ  ġhazab  ke  josh  haiñ  tauba  kī  ḳhair  ho
kartī  hai  dekhiye  ye  shab-e-māhtāb  kyā
ye  sab  sahī  ki  zalzala  hai  tā-falak  magar
shoḳhī  to  apnī  dekh  mirā  iztirāb  kyā
us  ne  to  jo  likhkhā  so  likhā  par  ġhazab  ye  hai
ik  ek  pūchhtā  hai  ki  aayā  javāb  kyā
achchhā  gumān  o  vahm  hamāre  ġhalat  sahī
kahiye  to  kahtī  hai  nigah-e-pur-hijāb  kyā
ai  ham-nashīñ  bhalā  vo  agar  sun  ke  hāl-e-dil
kah  deñ  ki  sab  ġhalat  hai  phir  is  kā  javāb  kyā
karte  haiñ  log  vaa.iz  o  'mā.il'  pe  ta.an  kyuuñ
piitā  nahīñ  jahān  meñ  koī  sharāb  kyā