phir  aa  ga.ī  ik  but  pe  tabī.at  ko  huā  kyā
Taltī  hī  nahīñ  sar  se  musībat  ko  huā  kyā
mahrūm  phir  aayā  dar-e-mai-ḳhāna  se  vaa.iz
rindān-e-qadah-ḳhvār  kī  himmat  ko  huā  kyā
maqbūl-e-duā  ho  na  asar  āh-o-fuġhāñ  meñ
is  daur  meñ  tāsīr-e-mohabbat  ko  huā  kyā
is  husn-o-latāfat  pe  kyā  sañg-dil  aisā
hairat  meñ  huuñ  allāh  kī  hikmat  ko  huā  kyā
jaage  to  koī  anjuman-e-ġhair  meñ  shab  bhar
aur  chhā.ī  mire  muñh  pe  nadāmat  ko  huā  kyā
dānista  naqāb  ulTe  hue  haiñ  sar-e-bāzār
aur  us  pe  ye  kahte  haiñ  ki  ḳhilqat  ko  huā  kyā
lo  ham  to  chale  kausar  o  tasnīm  pe  zāhid
tum  yūñhī  kahe  jaao  ki  rahmat  ko  huā  kyā
'mā.il'  nahīñ  kyā  aur  zamāne  meñ  ilāhī
mujh  par  hī  utartī  hai  ye  aafat  ko  huā  kyā