Jaleel nizami

sham be-kaif sahi sham hai Dhal jaegi

Jaleel nizami

shaam be-kaif sahī shaam hai Dhal jā.egī
din bhī niklegā tabī.at bhī sambhal jā.egī
is qadar tez hai dil meñ mire ummīd kī lau
nā-umīdī mire paas aa.ī to jal jā.egī
narm shānoñ pe na bikhrāv ghanerī zulfeñ
in ghaTāoñ se shab-e-tār dahal jā.egī
mast āñkhoñ ke darīchoñ se na jhāñkā kiije
jaam Takrā.eñge mai-ḳhvāroñ meñ chal jā.egī
ban-sañvar kar mujhe samjhāne na aao varna
phir tamannā-e-dil-e-zār machal jā.egī
māh-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanā hargiz
shahr meñ eid kī tārīḳh badal jā.egī
itnā saj-dhaj ke ayādat ko na aayā kiije
varna kuchh soch ke ye jaan nikal jā.egī
kyoñ pareshāñ ho shab-e-hijr kī aamad pe 'jalīl'
gardish-e-vaqt hai aaj aa.ī hai kal jā.egī
Top Urdushayar.com