Nazm tabaatabaa.ii

hansi mein wo baat maine kah di ki rah gae aap dang ho kar

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
hañsī meñ vo baat maiñ ne kah dī ki rah ga.e aap dañg ho kar
chhupā huā thā jo raaz dil meñ khulā vo chehre kā rañg ho kar
hamesha kuuch o maqām apnā rahā hai ḳhizr-e-rah-e-tarīqat
rukā to maiñ sañg-e-mīl ban kar chalā to āvāz-e-chañg ho kar
na toḌte aarsī agar tum to itne yūsuf nazar na aate
ye qāfila khīñch laa.ī saarā shikast-e-ā.īna zañg ho kar
shabāb o piirī kā aanā jaanā ġhazab kā pur-dard hai fasāna
ye rah ga.ī ban ke gard-e-hasrat vo uḌ gayā ruḳh se rañg ho kar
jo raaz dil se zabāñ tak aayā to us ko qaabū meñ phir na paayā
zabāñ se niklā kalām ban kar kamāñ se chhūTā ḳhadañg ho kar
ġhazab hai bahr-e-fanā kā dhārā ki mujh ko uljhā ke maarā maarā
nafas ne maujoñ kā jaal bun kar lahad ne kām-e-nahañg ho kar
milā dil-e-nā-hifāz mujh ko to kyā kisī kā lihāz mujh ko
kahīñ garebāñ na phaaḌ Dāleñ janāb-e-nāseh bhī tañg ho kar
jo ab kī mīnā-e-mai ko toḌā chalegī talvār mohtasib se
lahū bhī rindoñ kā dekh lenā bahā mai-e-lāla-rañg ho kar
na zabt se shikva lab tak aayā na sabr ne aah khīñchne dī
rahā dahan meñ vo qufl ban kar girāyā chhātī pe sañg ho kar
samajh le suufī agar ye nukta hai ek bazm-e-samā-e-hastī
to nau-piyāle ye āsmāñ ke bajeñ abhī jal-tarañg ho kar
bhalā ho afsurda-ḳhātirī kā ki hasratoñ ko dabā ke rakkhā
bachā liyā harzagī se us ne lihāz-e-nāmūs-o-nañg ho kar
jigar-ḳharāshī se paa.ī fursat na sīna-kāvī se nāḳhunoñ ne
galā garebāñ ne ghūñT Daalā junūñ kī shorish se tañg ho kar
badal ke duniyā ne bhes sad.hā ise Darāyā use lubhāyā
kabhī zan-e-pīr-zāl ban kar kabhī but-e-shoḳh-o-shañg ho kar
uThe the talvār khīñch kar tum to phir ta.ammul na chāhiye thā
ki rah ga.ī mere dil kī hasrat shahīd-e-teġh-e-darañg ho kar
jo valvale the vo dab ga.e sab hujūm-e-lait-o-la.al meñ 'haidar'
jo hausle the vo dil hī dil meñ rahe dareġh-o-darañg ho kar
Top Urdushayar.com