Nazm tabaatabaa.ii

phiri hui meri aankhen hain tegh-zan ki taraf

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
phirī huī mirī āñkheñ haiñ teġh-zan kī taraf
chalā hai chhoḌ ke bismil mujhe hiran kī taraf
banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhāna
na dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman kī taraf
rah-e-vafā ko na chhoḌā vo andalīb huuñ maiñ
chhuTā qafas se to parvāz kī chaman kī taraf
gurez chāhiye tūl-e-amal se sālik ko
sunā hai raah ye jaatī hai rāhzan kī taraf
sarā-e-dahr meñ so.oge ġhāfilo kab tak
uTho to kyā tumheñ jaanā nahīñ vatan kī taraf
jo ahl-e-dil haiñ alag haiñ vo ahl-e-zāhir se
na maiñ huuñ shaiḳh kī jānib na barhaman kī taraf
jahān-e-hādsa-āgīn meñ bashar kā varūd
guzar habāb kā dariyā-e-maujzan kī taraf
isī umiid pe ham din ḳhizāñ ke kāTte haiñ
kabhī to bād-e-bahār aa.egī chaman kī taraf
bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne kī
sunā hai ruuh ko aanā hai phir badan kī taraf
gavāh kaun mire qatl kā ho mahshar meñ
abhī se saarā zamāna hai teġh-zan kī taraf
ḳhabar dī uTh ke qayāmat ne us ke aane kī
ḳhudā hī ḳhair kare ruḳh hai anjuman kī taraf
vo apne ruḳh kī sabāhat ko aap dekhte haiñ
jhuke hue gul-e-nargis haiñ yāsman kī taraf
tamām bazm hai kyā mahv us kī bātoñ meñ
nazar dahan kī taraf kaan hai suḳhan kī taraf
asiir ho gayā dil gesuoñ meñ ḳhuub huā
chalā thā Duub ke marne chah-e-zaqan kī taraf
ye mai-kashoñ kī adā abr-e-tar bhī siikh ga.e
kinār-e-jū se jo uTThe chale chaman kī taraf
zahe-nasīb jo ho karbalā kī maut ai 'nazm'
ki uḌ ke ḳhāk-e-shifā aa.e ḳhud kafan kī taraf
Top Urdushayar.com