Nazm tabaatabaa.ii

uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai

Nazm tabaatabaa.ii

1854-1933
uḌā kar kaag shīshe se mai-e-gul-gūñ nikaltī hai
sharābī jam.a haiñ mai-ḳhāna meñ Topī uchhaltī hai
bahār-e-mai-kashī aa.ī chaman kī rut badaltī hai
ghaTā mastāna uThtī hai havā mastāna chaltī hai
za-ḳhud-rafta tabī.at kab sambhāle se sambhaltī hai
na ban aatī hai nāseh se na kuchh vaa.iz kī chaltī hai
ye kis kī hai tamannā chuTkiyāñ letī hai jo dil meñ
ye kis kī aarzū hai jo kaleje ko masaltī hai
vo dīvāna hai jo is fasl meñ fasdeñ na khulvā.e
rag-e-har-shāḳh-e-gul se ḳhuun kī naddī ubaltī hai
sahar hote hī dam niklā ġhash aate hī ajal aa.ī
kahāñ huuñ maiñ nasīm-e-sub.h pañkhā kis ko jhaltī hai
tamatto ek kā hai ek ke nuqsāñ se aalam meñ
ki saaya phailtā jaatā hai juuñ juuñ dhuup Dhaltī hai
binā rakkhī hai ġham par ziist kī ye ho gayā sābit
na lapkā aah kā chhūTegā jab tak saañs chaltī hai
qarār ik dam nahīñ aatā hai ḳhūn-e-be-gunah pī kar
ki ab to ḳhud ba-ḳhud talvār rah rah kar ugaltī hai
jahannam kī na aañch aa.egī mai-ḳhvāroñ pe o vaa.iz
sharāb ālūda ho jo shai vo kab ātish meñ jaltī hai
na dikhlānā ilāhī ek aafat hai shab-e-furqat
na jo kaaTe se kaTtī hai na jo Taale se Taltī hai
ye achchhā shuġhl vahshat meñ nikālā tū ne ai 'haidar'
garebāñ meñ ulajhne se tabī.at to bahaltī hai
Top Urdushayar.com