Shatir Hakeemi

palaT ke daur-e-zaman subh-o-sham paida kar

Shatir Hakeemi

Kamptee, Maharashtra, India

1912-1988
palaT ke daur-e-zamāñ sub.h-o-shām paidā kar
na.e tarīq se duniyā meñ naam paidā kar
tirā mazāq uḌāte haiñ dekhne vaale
agar nizām ġhalat ho nizām paidā kar
nazar ko tuur banā dil ko markaz-e-asrār
ġham-e-alast se aish-e-davām paidā kar
sukūn maut kī tamhīd hai zamāne meñ
lahū meñ harakat o soz-e-tamām paidā kar
nasīm-e-sub.h kī mānind muskurātā chal
guloñ kī tarah zamāna meñ naam paidā kar
falak bhī terī bulandī ko pā nahīñ saktā
havas ko chhoḌ ke lekin maqām paidā kar
amīn-e-husn jahāñ-tāb hai tirī hastī
jahāñ meñ puḳhtagī-e-ishq-e-ḳhām paidā kar
ḳhudā ke naam pe duniyā ko lūTne vaale
ḳhudī kā dil meñ zarā ehtimām paidā kar
adū bhī naaz uThā.e vo kaam kar 'shātir'
zamāna sar ko jhukā de vo naam paidā kar
Top Urdushayar.com