Hina Ambareen

kisi udas aankh ke asir ho gae

Hina Ambareen

Multan, Punjab, Pakistan

1987
kisī udaas aañkh ke asiir ho ga.e
baḌe ġharīb log the amiir ho ga.e
kisī ke dil ke taḳht pe birājmān the
to kyā kisī nazar meñ gir haqīr ho ga.e
gadāgarī se uTh ke log shaah ban ga.e
jo shaah the palak jhapak faqīr ho ga.e
ham aise jañg-jū asīr-e-ishq kyā hue
mohabbatoñ meñ amn ke safīr ho ga.e
vo ajnabī nigāh dil ko taar kar ga.ī
gurez-pā visāl dil meñ tiir ho ga.e
bas ek nuqta kaise āsmān ho gayā
qalīl ḳhvāb kis tarah kasīr ho ga.e
Top Urdushayar.com