vaqt  ke  kaan  kaun  bhar  rahā  hai
vaqt  vaise  bhī  to  guzar  rahā  hai
saal  do  chaar  pīchhe  ho  ga.e  haiñ
aa.ina  dekh  kar  sañvar  rahā  hai
kaun  rahtā  hai  paar  dariyā  ke
ye  jo  paanī  hai  kyoñ  biphar  rahā  hai
ye  udāsī  bhī  be-sabab  to  nahīñ
dil  kisī  justujū  meñ  mar  rahā  hai
thaam  kar  haath  merā  hāthoñ  meñ
baat  be-bāt  kyoñ  mukar  rahā  hai
duur  hī  rahiye  dūr-tar  rahiye
aap  se  kaun  baat  kar  rahā  hai
merā  saaya  bhī  mere  saath  nahīñ
kyā  koī  merā  ham-safar  rahā  hai
kitne  baune  hue  haiñ  vo  sābit
ḳhabt  jin  kā  hamāre  sar  rahā  hai
ek  vahshat  kā  baab  ḳhatm  huā
ek  nashsha  thā  jo  utar  rahā  hai