Iqbal Mateen

usko naghmon mein sameTun to buka jaane hai

Iqbal Mateen

Hyderabad, Telangana, India

1929-2015
us ko naġhmoñ meñ sameTūñ to bukā jaane hai
girya-e-shab ko jo naġhme kī sadā jaane hai
maiñ tirī āñkhoñ meñ apne liye kyā kyā DhūñDūñ
tū mire dard ko kuchh mujh se sivā jaane hai
us ko rahne do mire zaḳhmoñ kā marham ban kar
ḳhūn-e-dil ko jo mire rañg-e-hinā jaane hai
merī mahrūmī-e-furqat se use kyā lenā
vo to aahoñ ko bhī mānind-e-sabā jaane hai
ek hī din meñ tire shahr kī masmūm fazā
mere pairahan-e-sāda ko riyā jaane hai
maiñ kabhī tere darīche meñ khilā phuul bhī thā
aaj kyā huuñ tire gulshan kī havā jaane hai
mujh se kahtā hai mirā shoḳh ki iqbāl-'matīn'
tum rahe raat kahāñ ye to ḳhudā jaane hai
Top Urdushayar.com