meenakshi jijivisha

hum unhen dard-e-dil sunate hain

meenakshi jijivisha

Hisar, Haryana, India

1978
ham unheñ dard-e-dil sunāte haiñ
vo faqat haañ meñ haañ milāte haiñ
apne va.adoñ ko bhuul jaate haiñ
bevafā vo hameñ batāte haiñ
jin ke kirdār meñ haiñ daaġh ka.ī
vo hameñ aa.ina dikhāte haiñ
saath dete nahīñ kisī kā bhī
saath sab ke nazar jo aate haiñ
jis kī fitrat ko jānte haiñ ham
us se ummīd kyuuñ lagāte haiñ
jin añdheroñ se Dar rahe ho tum
vo ujāloñ se ḳhauf khāte haiñ
in charāġhoñ kā hausla dekho
āñdhiy.oñ ko ye muñh chiḌhāte haiñ
dil meñ pal jaa.e jo ġhalat-fahmī
ḳhuuñ ke rishte bhī TuuT jaate haiñ
ham ne dekhā 'jijīvishā' aksar
nā-ḳhudā kashtiyāñ Dubāte haiñ
Top Urdushayar.com