meenakshi jijivisha

wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai

meenakshi jijivisha

Hisar, Haryana, India

1978
vo bevafā hai hameñ ye malāl thoḌī hai
hameñ bhī raat din us kā ḳhayāl thoḌī hai
abhī hai qaid meñ be-shak jahāñ kī rasmoñ ke
abhī sazāoñ se naarī bahāl thoḌī hai
ġhulām apnā banā leñ jo ḳhvāhishāt ko ham
basar ġharībī meñ karnā muhāl thoḌī hai
hamārī aañkh meñ sharm-o-hayā kā hai parda
nazar milā.e koī ye majāl thoḌī hai
vafā karoge to ham se vafā hī pāoge
tumhāre saath anā kā savāl thoḌī hai
zarā yaqīn kā chashma lagā ke dekho to
abhī vafāoñ kā itnā akaal thoḌī hai
ye kaisī chāroñ taraf chāñdnī bikhartī hai
koī hasīn hai chhat par hilāl thoḌī hai
ye baat aaj mujhe aa.ine ne samjhā.ī
tumhāre husn pe itnā zavāl thoḌī hai
zarūr tum ho kisī ke chaḌhā.e meñ varna
tumhāre ḳhuun meñ itnā ubaal thoḌī hai
hamārā dil to hai shaffāf aa.ine kī tarah
is aa.ine meñ bhalā koī baal thoḌī hai
Top Urdushayar.com