aarzū  aur  ḳhvāb  le  jaao
har  amānat  janāb  le  jaao
hijr  ham  se  sahā  na  jā.egā
saath  apne  azaab  le  jaao
kaam  ā.eñgī  tajarbe  ke  liye
zindagī  kī  kitāb  le  jaao
aap  se  jo  bhī  ḳhaar  khāte  haiñ
un  kī  ḳhātir  gulāb  le  jaao
har  añdhere  meñ  kaam  aa.egā
ilm  kā  āftāb  le  jaao
aap  ko  de  rahe  haiñ  dil  apnā
achchhā  hai  yā  ḳharāb  le  jaao
ek  darvesh  kī  hai  ye  kuTiyā
tum  mizāj-e-navāb  le  jaao
sab  ke  hoñToñ  pe  qufl  lag  jaa.e
koī  aisā  javāb  le  jaao
log  chehroñ  pe  chehre  rakhte  haiñ
tum  bhī  koī  naqāb  le  jaao
ye  adab  kī  dukān  hai  sāhab
jo  bhī  chāho  ḳhitāb  le  jaao
jis  jagah  ho  akaal  sūkhe  se
us  jagah  jal  sahāb  le  jaao
dil  jigar  jaan  sab  tumhāre  haiñ
jab  bhī  chāho  janāb  le  jaao
ishq  kī  ye  kitāb  le  jaao
is  kā  har  ek  baab  le  jaao
kaise  kāTo.ge  din  judā.ī  ke
saath  yād-e-rabāb  le  jaao
yaad  ke  zaḳhm  kā  hai  ye  marham
tum  vatan  kī  turāb  le  jaao
ḳhush  rakhe  aap  ko  ḳhudā  har  pal
muflisī  kā  savāb  le  jaao
kaise  kaaTe  haiñ  din  judā.ī  ke
har  nafas  kā  hisāb  le  jaao
nanhe-munnoñ  ko  khelne  bhī  do
bojh  hai  ye  nisāb  le  jaao
har  ġhalat  baat  bhī  sahā  na  karo
ham  se  thoḌā  itaab  le  jaao