Meerza Jawan Bakht Jahandar

yak do jam aur bhi de tu saqi

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778

yak do jaam aur bhī de saaqī

na rahe dil meñ aarzū saaqī

merī taskīñ na hogī sāġhar se

muñh se mere lagā subū saaqī

raat o din mai-kashoñ ko rahtī hai

terī yaad o justujū saaqī

riñd-e-muflis ko de hai zyaad sharāb

bhaa.ī mujh ko tirī ye ḳhū saaqī

aah tujh bin haiñ zār-o-nālāñ ham

bhūlī mastī hāv-hū saaqī

shīsha-e-mai tarah se ham aaj

rakhte haiñ girya dar-gulū saaqī

kisī ke aage misl-e-sāġhar ham

laate haiñ dast-e-ārzū saaqī

laate haiñ misl-e-shīsha-e-bāda

tere aage sarfarū saaqī

ro nahīñ us ko bazm-e-mastāñ meñ

jis ke ta.iiñ na deve saaqī

de 'jahāñdār' ko vo mai jis

hove gul rañg-o-bū saaqī

Top Urdushayar.com