Yasmeen Habeeb

jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

Yasmeen Habeeb

jo chalā gayā so chalā gayā jo hai paas us kā ḳhayāl rakh
jo luTā diyā use bhuul jā jo bachā hai us ko sambhāl rakh
kabhī sar meñ saudā samā koī kabhī regzār meñ raqs kar
kabhī zaḳhm bāñdh ke paañv meñ kahīñ surḳh surḳh dhamāl rakh
jo churā.ī hai shab-e-tār se ka.ī ratjagoñ ko guzār ke
vahī kājaloñ kī lakīr hai apnī aañkh meñ Daal Daal rakh
kisī taara taara firāq se koī guftugū koī baat kar
ye javāb-gāh-e-shu.ūr hai koī apne paas savāl rakh
tire dard saare girāñ-bahā tirī vahshateñ haiñ azīm-tar
vahī baal khol ke bain kar vahī shām-e-sahn-e-malāl rakh
jahāñ laġhzishoñ se mafar nahīñ ye vo āgahī kā maqām hai
yahāñ hast-o-būd ko bhuul jā na.ī qurbatoñ se visāl rakh
ye jo raushnī kā hai dā.era ye rahīn-e-shams-o-qamar nahīñ
tire bas meñ kab thā ki ab rahe tū uruuj rakh yā zavāl rakh
Top Urdushayar.com