Meerza Jawan Bakht Jahandar

jo kuchh kiya so humne kiya apni chah se

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778
jo kuchh kiyā so ham ne kiyā apnī chaah se
ab shikva kījiye na kuchh us rashk-e-māh se
āshiq ke rozgār ko us ne siyah kiyā
kākul se ḳhat se zulf se ḳhālī siyāh se
tāb-o-tavān-o-dīn-o-dil-o-aql-o-sabr-o-hosh
vo shoḳh mujh se le gayā sab ik nigāh se
kī charḳh kaj-ravish ne ye kyā kaj-adā.ī ḳharch
jo ham ko āshnā kiyā us kaj-kulāh se
kasrat nujūm kī na falak par ye samjhiyo
ġhirbāl ho gayā hai mire tīr-e-āh se
us shoḳh ḳhud-pasand se pūchhe koī sahī
sābit huā hai qatl mirā kis gunāh se
pyāre abas hue ho 'jahāñdār' se ḳhafā
be-dil na ho tum aise dilī-ḳhair-ḳhvāh se
Top Urdushayar.com