Meerza Jawan Bakht Jahandar

koi kar sakta hai yaro jaisa maine kaam kiya

Meerza Jawan Bakht Jahandar

1749-1778

koī kar saktā hai yaaro jaisā maiñ ne kaam kiyā

yaar ke zimme kar nekī apne ta.iiñ bad-nām kiyā

āñkhoñ se sahlāyā kiyā maiñ talve us ke vaqt-e-ḳhvāb

itnī ḳhidmat dekh mirī ghar ġhair ke ārām kiyā

kaun shab be-nāla-o-zārī maiñ ne nahīñ us bin sub.h

kaun din be-rañj-o-musībat meñ na ro ro shaam kiyā

kuchh na chalā bas us pe azīzo apnī maiñ jaan pe khelā

āḳhir dard-e-hijr ne us ke merā kaam tamām kiyā

shab kahā maiñ ne us se mirā dil zulf terī banda hai

kyuuñ use ne qaidī-e-dām-e-sumbul-e-mushkīñ-fām kiyā

kaafī thā us bastagī ko to tār-e-kākul-e-rishta-e-zulf

kar ke asīr-e-halqa-e-gesū kyuuñ use be-ārām kiyā

chīñ-ba-jabīñ ho bolā duur ho tujh ko hai saudā dīvāne

chhūTne kyuuñ us ke ne dil meñ ḳhayāl-e-ḳhām kiyā

avval murġh rishta bapā thā pāband-e-tār-e-zulf

halqa-e-gesū meñ us ko āḳhir said-e-dām kiyā

aarzū yak bosa rakhtā dil meñ 'jahāñdār' ai pyāre

la.al-e-lab-e-shīrīñ se tum ne par na kabhū in.aam kiyā

Top Urdushayar.com