hirāsāñ  huuñ  siyāhī  meñ  kamī  hotī  nahīñ  hai
charāġhāñ  kar  rahā  huuñ  raushnī  hotī  nahīñ  hai
bahut  chāhā  ki  āñkheñ  band  kar  ke  maiñ  bhī  jī  luuñ
magar  mujh  se  basar  yuuñ  zindagī  hotī  nahīñ  hai
lahū  kā  ek  ik  qatra  pilātā  jā  rahā  huuñ
agarche  ḳhaak  meñ  paidā  namī  hotī  nahīñ  hai
darīchoñ  ko  khulā  rakhtā  huuñ  maiñ  har-vaqt  lekin
havā  meñ  pahle  jaisī  tāzgī  hotī  nahīñ  hai
maiñ  rishvat  ke  masā.il  par  namāzeñ  paḌh  na  paayā
badī  ke  saath  mujh  se  bandagī  hotī  nahīñ  hai
maiñ  apne  ahd  kī  tasvīr  har-pal  khīñchtā  huuñ
ġhalat  hai  sochnā  ye  shā.irī  hotī  nahīñ  hai
burā  hai  dushmanī  se  āshnā  honā  bhī  'ālam'
kisī  se  ab  hamārī  dostī  hotī  nahīñ  hai