koī  bhī  shai  kahāñ  nāyāb  hai  hamāre  liye
khulā  huā  to  dar-e-ḳhvāb  hai  hamāre  liye
hameñ  hī  raushnī  us  kī  nazar  nahīñ  aatī
charāġh  to  pas-e-mehrāb  hai  hamāre  liye
palak  jhapakte  hī  sab  kuchh  nayā  sā  lagtā  hai
ye  zindagī  bhī  koī  ḳhvāb  hai  hamāre  liye
utarte  jaate  haiñ  pahnā.iyoñ  meñ  dariyā  kī
ki  jaltī  sham.a  tah-e-āb  hai  hamāre  liye
hamīñ  ne  band  kiye  haiñ  tamām  darvāze
ye  shahr  aaj  bhī  betāb  hai  hamāre  liye
bas  ek  mauj  ne  ye  haal  kar  diyā  apnā
har  ek  mauj  hī  girdāb  hai  hamāre  liye
har  ek  shaḳhs  ke  da.ave  alag  alag  'ālam'
agarche  baam  pe  mahtāb  hai  hamāre  liye