kabhī  kabhī  kitnā  nuqsān  uThānā  paḌtā  hai
airoñ  ġhairoñ  kā  ehsān  uThānā  paḌtā  hai
TeḌhe-meḌhe  rastoñ  par  bhī  ḳhvāboñ  kā  pashtāra
terī  ḳhātir  merī  jaan  uThānā  paḌtā  hai
kab  suntā  hai  naala  koī  shor-sharābe  meñ
majbūrī  meñ  bhī  tūfān  uThānā  paḌtā  hai
kaisī  havā.eñ  chalne  lagī  haiñ  mere  bāġhoñ  meñ
phūloñ  ko  bhī  ab  sāmān  uThānā  paḌtā  hai
gul-daste  kī  ḳhvāhish  rakhne  vāloñ  ko  aksar
koī  ḳhaar  bharā  gul-dān  uThānā  paḌtā  hai
yaañ  koī  tafrīq  nahīñ  hai  shaah  gadā  sab  ko
apnā  bojh  dil-e-nādān  uThānā  paḌtā  hai
yuuñ  māyūs  nahīñ  hote  haiñ  koī  na  koī  ġham
achchhe  achchhoñ  ko  har  aan  uThānā  paḌtā  hai
makkāroñ  kī  is  duniyā  meñ  kabhī  kabhī  'ālam'
achchhe  logoñ  ko  bohtān  uThānā  paḌtā  hai