kuchh  chamaktā  sā  tah-e-āb  nazar  to  aa.e
Dūbne  ke  liye  girdāb  nazar  to  aa.e
koī  ta.abīr  kī  sūrat  bhī  nikal  aa.egī
niiñd  to  aa.e  kabhī  ḳhvāb  nazar  to  aa.e
band  kamre  kī  fazā  kis  ko  bhalī  lagtī  hai
mere  atrāf  meñ  mahtāb  nazar  to  aa.e
do  ghaḌī  Thahrūñ  kahīñ  maiñ  bhī  zarā  dam  le  luuñ
raah  meñ  ḳhitta-e-shādāb  nazar  to  aa.e
maiñ  shikasta  huuñ  idhar  tū  bhī  shikasta  hai  udhar
jañg  meñ  koī  zafar-yāb  nazar  to  aa.e
mushkileñ  gher  ke  baiThī  haiñ  mirā  ghar  'ālam'
ab  zarā  halqa-e-ahbāb  nazar  to  aa.e