jal  bujhā  huuñ  maiñ  magar  saarā  jahāñ  taak  meñ  hai
koī  tāsīr  to  maujūd  mirī  ḳhaak  meñ  hai
kheñchtī  rahtī  hai  har  lamha  mujhe  apnī  taraf
jaane  kyā  chiiz  hai  jo  parda-e-aflāk  meñ  hai
koī  sūrat  bhī  nahīñ  miltī  kisī  sūrat  meñ
kūza-gar  kaisā  karishma  tire  is  chaak  meñ  hai
kaise  Thahrūñ  ki  kisī  shahr  se  miltā  hī  nahīñ
ek  naqsha  jo  mire  dīda-e-namnāk  meñ  hai
ye  ilāqa  bhī  magar  dil  hī  ke  taabe  Thahrā
ham  samajhte  the  amaañ  gosha-e-idrāk  meñ  hai
qatl  hote  haiñ  yahāñ  nāra-e-elān  ke  saath
vaz.a-dārī  to  abhī  ālam-e-saffāk  meñ  hai
kitnī  chīzoñ  ke  bhalā  naam  tujhe  ginvā.ūñ
saarī  duniyā  hī  to  shāmil  mirī  imlāk  meñ  hai
rā.egāñ  koī  bhī  shai  hotī  nahīñ  hai  'ālam'
ġhaur  se  dekhiye  kyā  kyā  ḳhas-o-ḳhāshāk  meñ  hai