har  ghaḌī  ik  yahī  ehsās-e-ziyāñ  rahtā  hai
aag  raushan  thī  jahāñ  sirf  dhuāñ  rahtā  hai
ḳhatm  hotā  hī  nahīñ  dasht  kā  ab  sannāTā
koī  mausam  ho  yahāñ  ek  samāñ  rahtā  hai
aa  ga.ī  raas  mire  dil  kī  udāsī  shāyad
itnī  muddat  bhī  kahīñ  daur-e-ḳhizāñ  rahtā  hai
phuul  khilte  haiñ  to  murjhā.e  hue  lagte  haiñ
ik  ajab  ḳhauf  sar-e-shāḳh-e-gumāñ  rahtā  hai
saaz  ke  taar  haiñ  TuuTe  hue  mutrib  chup  haiñ
ab  fazāoñ  meñ  faqat  shor-e-sagāñ  rahtā  hai
rāsta  chalte  hue  log  ThiThak  jaate  haiñ
har-qadam  jaise  tah-e-sañg-e-garāñ  rahtā  hai
maiñ  bhī  ruk  jā.ūñ  magar  ruk  nahīñ  paatā  'ālam'
ek  dariyā  sā  sadā  mujh  meñ  ravāñ  rahtā  hai