maiñ  jis  jagah  bhī  rahūñgā  vahīñ  pe  aa.egā
mirā  sitāra  kisī  din  zamīñ  pe  aa.egā
lakīr  khīñch  ke  baiThī  hai  tishnagī  mirī
bas  ek  zid  hai  ki  dariyā  yahīñ  pe  aa.egā
muhīb  saa.e  baḌhe  aate  haiñ  hamārī  taraf
kab  e'tibār  hameñ  dūr-bīñ  pe  aa.egā
ab  is  adā  se  havā.eñ  diye  bujhā.eñgī
ki  ittihām  bhī  ḳhāna-nashīñ  pe  aa.egā
kamān-e-vaqt  ne  ham  ko  hadaf  banāyā  hai
kahīñ  se  tiir  chalegā  hamīñ  pe  aa.egā
uḌā  rahā  huuñ  ġhubāra  magar  ḳhabar  hai  mujhe
zarā  sī  der  meñ  vāpas  zamīñ  pe  aa.egā