hameñ  apnī  masāfat  be-maza  karnā  nahīñ  hai
safar  karnā  hai  manzil  kā  pata  karnā  nahīñ  hai
balā  se  ham  kisī  sāhil  pe  pahuñcheñ  yā  na  pahuñcheñ
kisī  bhī  nāḳhudā  ko  ab  ḳhudā  karnā  nahīñ  hai
havāoñ  se  hī  qaa.em  hai  hamārī  zau-fishānī
havāoñ  se  charāġhoñ  ko  judā  karnā  nahīñ  hai
badalte  vaqt  ke  tevar  parakhnā  chāhte  haiñ
kahā  kis  ne  buzurgoñ  kā  kahā  karnā  nahīñ  hai
tumhīñ  zāmin  ho  merī  zindagī  ke  mere  ḳhvābo
tumheñ  ik  pal  bhī  āñkhoñ  se  rihā  karnā  nahīñ  hai
ka.ī  āshufta-sar  mil  jā.eñge  raste  meñ  'ālam'
kisī  ke  vāste  ham  ko  sadā  karnā  nahīñ  hai