vaqt  se  pahle  daraḳhtoñ  pe  samar  aane  lage
raat  aa.ī  bhī  nahīñ  ḳhvāb-e-sahar  aane  lage
maiñ  ne  pahlā  hī  qadam  rakkhā  hai  dariyā  meñ  abhī
ḳhair-maqdam  ke  liye  kitne  bhañvar  aane  lage
kyā  ḳhatā  ho  ga.ī  sarzad  maiñ  isī  soch  meñ  huuñ
sañg  ke  badle  mirī  samt  guhar  aane  lage
is  liye  zill-e-ilāhī  se  ḳhafā  haiñ  rāteñ
un  ke  aivān  meñ  kyuuñ  ḳhāk-basar  aane  lage
aap  kuchh  aur  haiñ  āshiq  ise  kahte  haiñ  miyāñ
jis  ko  har  chiiz  meñ  mahbūb  nazar  aane  lage
ḳhair  māñgeñ  kisī  dushman  ke  liye  ab  'ālam'
ain  mumkin  hai  duāoñ  meñ  asar  aane  lage