aur  ik  shahr  hai  kyā  shahr-e-gumāñ  se  aage
ham  ko  jaanā  hai  bahut  duur  yahāñ  se  aage
gardish-e-pā  kisī  manzil  pe  Thahartī  hī  nahīñ
dil  magar  baḌhtā  nahīñ  kū-e-butāñ  se  aage
gūñjtī  rahtī  haiñ  sāhil  kī  sadā.eñ  har-dam
ham  ne  dekhā  hī  nahīñ  mauj-e-ravāñ  se  aage
mudda.ā  apnā  kisī  shaḳhs  pe  zāhir  na  huā
koī  jaatā  hī  nahīñ  tarz-e-bayāñ  se  aage
zaḳhm  qaa.el  hoñ  bhalā  chāragarī  ke  kaise
saf-e-dushman  hai  saf-e-chāra-garāñ  se  aage
be-sabab  ham  se  ḳhafā  ho  ga.ī  duniyā  'ālam'
ham  ne  likkhā  hai  kahāñ  qissa-e-jāñ  se  aage