kis  lamhe  ham  terā  dhyān  nahīñ  karte
haañ  koī  ahd-o-paimān  nahīñ  karte
har  dam  terī  maalā  japte  haiñ  lekin
galiyoñ  kūchoñ  meñ  elaan  nahīñ  karte
apnī  kahānī  dil  meñ  chhupā  kar  rakhte  haiñ
duniyā  vāloñ  ko  hairān  nahīñ  karte
ik  kamre  ko  band  rakhā  hai  barsoñ  se
vahāñ  kisī  ko  ham  mehmān  nahīñ  karte
ik  jaisā  dukh  mil  kar  bāñTā  karte  haiñ
ik  duuje  par  ham  ehsān  nahīñ  karte
kuchh  raste  mushkil  hī  achchhe  lagte  haiñ
kuchh  rastoñ  ko  ham  āsān  nahīñ  karte
raste  meñ  jo  miltā  hai  mil  lete  haiñ
achchhe  bure  kī  ab  pahchān  nahīñ  karte
jī  kartā  hai  bhālū  bandar  naam  rakheñ
kaun  sī  vahshat  ham  insān  nahīñ  karte
'ālam'  us  ke  phuul  to  kab  ke  suukh  ga.e
kyuuñ  taaza  apnā  gul-dān  nahīñ  karte