thapak  thapak  ke  jinheñ  ham  sulāte  rahte  haiñ
vo  ḳhvāb  ham  ko  hamesha  jagāte  rahte  haiñ
umīdeñ  jāgtī  rahtī  haiñ  sotī  rahtī  haiñ
darīche  sham.a  jalāte  bujhāte  rahte  haiñ
na  jaane  kis  kā  hameñ  intizār  rahtā  hai
ki  bām-o-dar  ko  hamesha  sajāte  rahte  haiñ
kisī  ko  DhūñDte  haiñ  ham  kisī  ke  paikar  meñ
kisī  kā  chehra  kisī  se  milāte  rahte  haiñ
vo  naqsh-e-ḳhvāb  mukammal  kabhī  nahīñ  hotā
tamām  umr  jise  ham  banāte  rahte  haiñ
usī  kā  aks  har  ik  rañg  meñ  jhalaktā  hai
vo  ek  dard  jise  sab  chhupāte  rahte  haiñ
hameñ  ḳhabar  hai  kabhī  lauT  kar  na  ā.eñge
ga.e  dinoñ  ko  magar  ham  bulāte  rahte  haiñ
ye  khel  sirf  tumhīñ  khelte  nahīñ  'ālam'
sabhī  ḳhalā  meñ  lakīreñ  banāte  rahte  haiñ