zavāl  meñ  bhī  rahā  dil-nashīñ  nazāra  mirā
mire  hī  saath  girā  TuuT  ke  sitāra  mirā
kisī  pe  ramz  mirī  baat  kī  khulī  hī  nahīñ
na  kaam  aayā  mire  koī  isti.āra  mirā
yaqīñ  kisī  ko  na  aayā  maiñ  Duub  saktā  huuñ
samajh  rahe  the  agarche  sabhī  ishāra  mirā
nadī  kī  tarah  kināra  bhī  kāTtā  huuñ  maiñ
kisī  hisār  meñ  hotā  nahīñ  guzāra  mirā
ye  baat  jaan  ke  hairat  nahīñ  huī  mujh  ko
ki  merī  aag  se  raushan  rahā  sitāra  mirā
na  rok  paa.ī  mujhe  maujoñ  kī  koī  sāzish
ravāñ-davāñ  hai  abhī  jhiil  meñ  shikārā  mirā
abhī  se  samt  badalne  lagā  maiñ  kyuuñ  'ālam'
abhī  to  duur  bahut  duur  hai  kinārā  mirā