hairān  ho  rahā  huuñ  basīrat  ke  naam  par
maiñ  dekhtā  kuchh  aur  huuñ  manzar  kuchh  aur  hai
mujh  ko  sitāra  aur  koī  khīñchtā  hai  kyuuñ
merā  ilāqa  aur  hai  mehvar  kuchh  aur  hai
patthar  samajh  rahā  hai  zamāna  to  kyā  karūñ
muTThī  meñ  merī  jab  ki  munavvar  kuchh  aur  hai
tāsīr-e-ḳhāk  aa.egī  alfāz  meñ  mire
dil  meñ  hai  aur  baat  laboñ  par  kuchh  aur  hai
'ālam'  mujhe  bharosa  nahīñ  zā.ichoñ  pe  ab
is  meñ  likhā  thā  aur  mayassar  kuchh  aur  hai