khaḌe  haiñ  der  se  ahbāb  dekhne  ke  liye
mirā  safīna  tah-e-āb  dekhne  ke  liye
khulī  jo  aañkh  to  ham  Dūbte  nazar  aa.e
ga.e  the  duur  se  girdāb  dekhne  ke  liye
abas  pareshāñ  haiñ  ta.abīr  kī  tag-o-dau  meñ
milī  hai  niiñd  hameñ  ḳhvāb  dekhne  ke  liye
taras  rahī  hai  mire  dasht  kī  fazā  kab  se
kisī  daraḳht  ko  shādāb  dekhne  ke  liye
uḌaan  bharne  lage  haiñ  tuyūr-o-tayyāre
qarīb-o-dūr  se  sailāb  dekhne  ke  liye
sunā  hai  maiñ  ne  havā.eñ  bhī  be-qarār  haiñ  ab
mire  diye  ko  zafar-yāb  dekhne  ke  liye
nazar  jhukā.e  khaḌī  haiñ  aqīdateñ  'ālam'
shikast-e-gumbad-o-mehrāb  dekhne  ke  liye