na.e  sire  se  koī  safar  āġhāz  nahīñ  kartā
jaane  kyuuñ  ab  dil  merā  parvāz  nahīñ  kartā
kitnī  burī  aadat  hai  maiñ  ḳhāmosh  hī  rahtā  huuñ
jab  tak  mujh  se  koī  suḳhan  āġhāz  nahīñ  kartā
kaise  zinda  rahtā  huuñ  maiñ  zahr  ko  pī  kar  ab
dīvār-o-dar  ko  bhī  to  hamrāz  nahīñ  kartā
taaza  havā  ke  jhoñke  aksar  aate  rahte  haiñ
āḳhir  kyuuñ  maiñ  apne  darīche  baaz  nahīñ  kartā
jaane  kaisā  raag  bajānā  siikh  liyā  dil  ne
merī  sañgat  ab  koī  dam-sāz  nahīñ  kartā
ahl-e-hunar  kī  āñkhoñ  meñ  kyuuñ  chubhtā  rahtā  huuñ
maiñ  to  apnī  be-hunarī  par  naaz  nahīñ  kartā
mujh  meñ  kuchh  hogā  to  duniyā  ḳhud  jhuk  jā.egī
maiñ  neze  par  sar  apnā  afrāz  nahīñ  kartā
vaqt  ke  saare  chakkar  haiñ  ye  'ālam'-jī  varna
yahāñ  kisī  ko  koī  nazar-andāz  nahīñ  kartā