ek  ajab  sī  duniyā  dekhā  kartā  thā
din  meñ  bhī  maiñ  sapnā  dekhā  kartā  thā
ek  ḳhayāl-ābād  thā  mere  dil  meñ  bhī
ḳhud  ko  maiñ  shahzāda  dekhā  kartā  thā
sabz  parī  kā  uḌan-khaTolā  har  lamhe
apnī  jānib  aatā  dekhā  kartā  thā
uḌ  jaatā  thā  ruup  badal  kar  chiḌiyoñ  ke
jañgal  sahrā  dariyā  dekhā  kartā  thā
hiire  jaisā  lagtā  thā  ik  ik  patthar
har  miTTī  meñ  sonā  dekhā  kartā  thā
koī  nahīñ  thā  tishna  registānoñ  meñ
har  sahrā  meñ  dariyā  dekhā  kartā  thā
har  jānib  hariyālī  thī  ḳhush-hālī  thī
har  chehre  ko  hañstā  dekhā  kartā  thā
bachpan  ke  din  kitne  achchhe  hote  haiñ
sab  kuchh  hī  maiñ  achchhā  dekhā  kartā  thā
aañkh  khulī  to  saare  manzar  ġhā.eb  haiñ
band  āñkhoñ  se  kyā  kyā  dekhā  kartā  thā