har  ghar  meñ  koī  tah-ḳhāna  hotā  hai
tah-ḳhāne  meñ  ik  afsāna  hotā  hai
kisī  purānī  almārī  ke  ḳhānoñ  meñ
yādoñ  kā  anmol  ḳhazāna  hotā  hai
raat  ga.e  aksar  dil  ke  vīrānoñ  meñ
ik  saa.e  kā  aanā  jaanā  hotā  hai
baḌhtī  jaatī  hai  bechainī  nāḳhun  kī
jaise  jaise  zaḳhm  purānā  hotā  hai
dil  rotā  hai  chehrā  hañstā  rahtā  hai
kaisā  kaisā  farz  nibhānā  hotā  hai
zinda  rahne  kī  ḳhātir  in  āñkhoñ  meñ
koī  na  koī  ḳhvāb  sajānā  hotā  hai
tanhā.ī  kā  zahr  to  vo  bhī  piite  haiñ
jin  logoñ  ke  saath  zamāna  hotā  hai
sahrā  se  bastī  meñ  aa  kar  bhed  khulā
dil  ke  andar  hī  vīrāna  hotā  hai
sarmastī  meñ  yaad  nahīñ  rakhtā  koī
bazm  se  uTh  kar  vāpas  jaanā  hotā  hai